Sunday, July 19, 2009

abhi baki kai aasman hain......

na ye manzil hai tumhari
na ye tumhara jahan hain
tere liye chune ko
abhi baki kai aasman hain
koshish karne walon ki
kabhi haar nahi hoti
dil se kari hui mehnat
kabhi bhi bekar nahi hoti
waqt ke apne khel hain
waqt aj tumhara yahan hain.
tum misal ho khud me
tum khud ek kahani ho
prerna ho,umeed ho
tum jeet ke saani ho
ab tum jahan ho
bas safalata wahan hain.
"USKE"(GOD)samne sar jhukaye rehna
har khushi me use yad karna
waqt jab sath na ho tere
waqt ke sath tum ho lena
duaon ke alawa ab pass
mere tumhe dene ko kuch kahan hain.

No comments:

Post a Comment