Friday, August 7, 2009

Sadaaa....

wo ehsaas bhi murjha gaye, tere diye
phoolon ki tarah.....
hum bhi mohabbat ke mare ho gaye
auron ki tarah.......

tu aaya tha apni marzin se chala gaya
mere darr par na lauta tu
mausamon ki tarah.......

kya chupaoon main palakon ke pardon se
chalak hi jata hai dard aankhon se
ashkon ki tarah......

shak hai hame ab naam-e-wafa par
na jane kab kaun badal jaye tere
waadon ki tarah......

jee to hum lenge hi tere bina bhi
chubhti rahegi teri baat hamesha
kaaton ki tarah.........

khuda tujhe khushiyaan ada kare
kabhi na toote tere koi khwab mere
armaano ki tarah......

bas ab yehi dua karenge hum sada
tujhse khushiyaan judi rahe,mujhse mere
ghamon ki tarah......

No comments:

Post a Comment