Wednesday, July 15, 2009

Wo ek sadak seedi seedi

THIS POEM IS DEDICATED TO BANASTHALI VIDYAPITH.....



Wo ek sadak seedi seedi
Jisne is jeevan ki raah dikhaee

Wo ek sadak seedi seedi
Jisne duniya ki pehchan karaee

Wo ek sadak seedi seedi
Jispe chalke har mod jitney ki himmat aaee

Wo ek sadak seedi seedi
Jisne hamari hamse pehchan karaee

Wo ek sadak seedi seedi
Jisne dayen gyan diya aur baye insaniyat samjhaee

Wo ek sadak seedi seedi
Jahan muskane thi aur ansu ki bhi nadi bahaee

Wo ek sadak seedi seedi
Jahan zindagi ke har rang hame gaye dikhaee

Wo ek sadak seedi seedi
Jisne tedhe medhe rasto pe chalne ki seekh sikhaee

Bahut yad ati hai aj wo
Wo ek sadak seedi seedi
Lautke phir ane ko bulati hai
Wo ek sadak seedi seedi

Jab duniyadari jheli nahi jati
Jab koi raah nahi deti hai dikhaee
Dil ko do pal chain ke liye
Yaad ati hai to bas
Wo ek sadak seedi seedi

2 comments:

  1. Touched my heart to the core. I never realized I miss Banasthali so much. Keep writing!

    -Sudhu

    ReplyDelete
  2. hey nice dear...
    m currently in banasthali...
    but yeah m sure i'll miss it too......

    ReplyDelete